Alerts

United we stand.

Friday, April 19, 2013

KITAB BEHTREEN SATHI



KITAB BEHTREEN SATHI

Kaha jata hai kay kitab hamari behtreen dost hi nahin balkay wafadar aur ghum khur bhi hai.ye hi hamari rehnuma aur mu’alim hai.kitab hi hamay dunya bhar ki malumat sey roshnas karati hai, dunya kay utarh charhao kay barey mai batati hai. Kitab hi ki badolat hamey pata chalta hai kay hum sey pehly ki nasl kay pass kiya kiya asaishien thien?


Kitab hamey nae khatrat, mushkilat aur tarikiyo mai mash’aal-e-raah sabit hoti hai. Kitab hi hamey kamyabi ki basirat deti hai. Kutb khaney kisi bhi Quom ka asasa hoty hain.Tarekh is baat ki gawah hai kay jab dushman kisi mulk pey hamla karta tha to sab sey pehly us kay kutb khano ko jala kar rakh kar deta tha.


Hum kitab ko sirf nisab ki had tak parhty hain jabhi parh kay bhool jatey hain kabhi humney kitab per amal karney kay gharz sey us ka mu’taala nahin kiya. Apney gharo mai book shelf ko toh jaga de di lekin apney dil-o-demagh ko kitab kay shireen lehjey, us kay mu’taaly sey sukon, itminan aur us ki afadiat sey mehroom rakha hai.




Kitab sey na sirf maazi ki baaten pata chalti hain  balkey is modern zamaney ki scientific changings, her issue kay mu’taliq maloomat ka zakhira mojud hota hai. Is modern zamaney mai internet ki maqbuliyat ki waja sey kitab ki importance kam  hoti ja rahi hai, lekin asatazah kitab kay mawad ko hi bilkul sahi aur authentic mantey hain. Students kay notes mai book refrence honey sey student kay kam ki


quality aur us ki mehnat ka andazah hota hai.
Kitab achi bhi hoti hai aur buri bhi. Achi kitab hamesha insane ki rehnumai karti hai, achay dost ki tarah mashwarey deti hai. Tanhai mai Shaitan kay shar say bachnay ka behtreen tariqa kitab ka mu’taala hai. Is say Allah bhi khush hoga aur hamary ilm mai izafa bhi hoga.

BY:
IFRAH ANSARI

20 comments:

  1. very good .I like it (;;;:;).

    ReplyDelete
  2. Baji tumne bahut accha likhe

    ReplyDelete
  3. wow! very good. thanks for helping me in my school work.

    ReplyDelete
  4. Good one !keep on doing such contributions

    ReplyDelete
  5. This is very helpful......
    Thankyou so much brother...
    May god give you sucess(آمین)

    ReplyDelete
  6. Mashallah very good short essay👍

    ReplyDelete
  7. Thank you so much for helping

    ReplyDelete
  8. Plz khalon ki ahmiyat par bhi essay dalein

    ReplyDelete
  9. Very good I want to write mazmoon for school I have writed.thanks.

    ReplyDelete
  10. Ma share Allah great, may Allah bless you

    ReplyDelete
  11. Thank you friwnd who share

    ReplyDelete
  12. Good essay I like it 😄

    ReplyDelete