Jinnah University for Women may her Friday or
Saturday ko Student’s ki tadad bohat kum hoti hai. Jis ki wajha say wo student’s
jo Saturday or Friday ko university parhne ki gharz say jati hain unki bhi
classes nhi li jatien. Teachers class mai aatien hain attendance laytien hain
or ye keh kar wapis chali jatien hain k student’s ki tadad kum hai to kiya
parhae jab puri class aegi to parhaegen. Or baaz Teachers to class may ana bhi
zarori nhi samjhtien Staff Room mai hi student’s ki tadad puch kar keh dayti
hain k attendance ek paper par likh kar la den class nhi hogi. Is tarha jo
student’s aye hoti hain unki classes na laykar unka pura din bekar kar diya
jata hai.
JUW may student’s ki to her choti say choti
bat cheek ki jati hai. Un per her waqt sakhti ki jati hai to phr authority ye
cheeking ye sakhti Teachers par kyun nhi karti? Kyun Teachers ko note nhi kiya
jata k wo class mai ja kar parhatien bhi hain ya nhi? Wo to sirf attendance lay
kar chali jati hain take koi unse ye na keh saky k unhonay class nhi li.
Agar Teachers
Friday or Saturday student’s kum hone k bawajud class mai akar parhae or dosray
din class mai usay repeat na karen to student’s in do dinon may bhi University
ana shuru kar den gen. Teachers ka farz banta hai k agar ek student bhi class
mai aye to wo usay parhae takay jo student’s aatien hain unka nuqsan na ho.
BY:
RUBY SAJID MALIK
No comments:
Post a Comment