Alerts

United we stand.

Friday, April 12, 2013

YEH WAQT BHI GUZAR JAYGA


    YEH WAQT BHI GUZAR JAYGA

Kehty hain kay kisi mulk per ek nihayat samajhdar Badshah hukumat karta tha. Ek martaba usney apney mulk kay tamam mufakkiron aur danishwaro ko jama kar kay un say pucha kay “kiya koi aesa mashwara ya maqola hai”? jo kay her kisi qism kay halat mai kaam aey, alag alag surat-e-haal aur mukhtalif auqat mai is aik maqoley say rehnumai mil jay.

Aik umer rasida mufakkir nay Badshah ki khidmat mai aik lifafa peash kiya aur kaha kay is lifafay mai wo maqola hai jis ki khuahish apnay ki thi, lekin shart yeh hai kay aap is lifafy ko sirf us waqt khol kay dekhengay jab aap ko koi mashwarah ya madad darker ho. Badshah nay yeh shart maan li or us lifafay ko nihayat ehtiyat say rakh liya.
Kuch arsey baad kisi dushman nay mulk per hamla kar diya. Badshah ki fauj ko shikast say do char hoi. Dushman ki fauj Badshah ko giraftar karnay kay liye chappa chappa chaan rahi thi. Badshah ko is surat-e-haal mai us lifafay ka khayal aya. Is lifafay kay andar aik kaghaz tha jis pay likha yha kay “YEH WAQT BHI GUZAR JAEGA    Usnay 4 bar us tehrir ko parha aur socha kay yeh toh sach hai kal tak meray pas sab kuch tha aur aaj mai tanha hun.

Badshah is bharosay pay wahin chup gaya aur bach gaya. Badshah nay apni bachi kuchi fauj ko jama kiya aur dushmano ko mulk say bahar nikal diya.

Fateh ki tarah jab wo apnay mulk kay Darul hukumat mai dakhil hua toh barhi tadad mai logon nay us ka istaqbal kiya. Us nay socha kay aesay dushmano ko shikast dena koi nahin dey sakta,mai bohat bahadur hun, meri izzat mai aur izafa ho gaya. Achanak us kay zehn mai wahi maqola aya. YEH WAQT BHI GUZAR JAYGA. Us ka sara Fakhar aur ghurur us hi lamhay khatm hogaya.

Ye hi haal aaj kay hamarey jali degree yafta siyasatdano ka hai, jo kal tak aewanon mai beth kar har aeish say lutf andoz ho rahay thy aur aaj kal rozana jail kay khofnak khuab dekh rahen hain aur kuch kay toh yeh khuab sach bhi ho chukay hain. Waqai har waqt guzar jata hai kabhi waqt aik  sa nahin rehta. 

In siyasatdano nay kabhi aesa waqt nahin socha hoga. Ab yeh sab apni apni sazaon kay khilaf Court mai application file karengay. In ki apni jaan pay bani toh har had tak koshish kar rahen hain. Us waqt Qaum ki khush haali aur roshan mustaqbil ka khayal nahin aya jab woh itni eham zimedari kay liye jaali degree banwa rahay thy.

Mujhay toh bohat acha laga jab in ko sazaen milen kyun kay unhay  bhi toh taklif ka andaza ho jo who log hamen mukhtalif surton mai detay aey hain. In logon ka mazi bohat haseen tha lekin haal aur mustaqbil bhayanak ho sakta hai. Isi tarah hamara mazi aur haal bohat be intaha bhayanak  hai lekin umeed hai kay yeh waqt guzray ga aur hamara mustaqbil bohat haseen hoga. 
INSHALLAH  UL AZIZ

By:
IFRAH ANSARI

4 comments:

  1. kehty hein waqt badalta zaror hai raat ki tareeki ke baad subah ki pehli kiran zaror ati hai,takleef pareshani ke baad chain,rahat ,sukon zaror naseeb hota hai,ghum ke baad khushi zaror milti hai.aaj hum jis azmaish se guzar rahay hein YEH WAQT BHI GUZAR JAE GA ,aany wala kal hamary piyary PAKISTAN aur tamam ummat e Muslima ke liay kamyabi aur tarraqi ka sabab bany ga INSHALLAH

    ReplyDelete
  2. Yeh waqt bhi guzr jayga, is andheray k bd hum roshnion ki trf jaynge zaror, INSHAALLAH

    ReplyDelete
  3. InshaALLAH jald hi guzr jaega :)

    ReplyDelete
  4. INSHAH ALLAH......pakistan ma acha wagt zaror ay ga

    ReplyDelete