Alerts

United we stand.

Thursday, April 11, 2013


Ghar ka mahol bachon ky kirdar par gehra asar dalta ha
Teen sal ki umar tak bachy jo kuch bhi sekhty hn wo ghar ky afrad or ghar ky mahol sy he sekhty hn.Agr ghar ka mahol aisa ha jahan ak dosry ki izat ki jati ho,her kam ma discipline ho tehzeeb o tameez ka muzahera kiya jata ho to aisa ho he nh sakta ky ye tamam chezain bacy ky kirdar ka hisa na banain .Bachy walaidain,behan bahai or digar afrad ky darmiyan hony wali guftago ko sunty hn jis sy unhain pata chalta ha k ghar ma kis tarahan ki guftago ki jati ha.Agr ghar k afrad bat krty hoy naziba guftago sy guraiz krain or ikhlaqiyat ka khaiyal rakhty hoy aa pas ma interact krain to to bachon my zehan ma ye bat bath jati ha ky ghar ma koe aisi bat nh krni jo ghar ky mahol k khilaf ho.Phr yehe bat in ky kirdar ka hisa ban jati ha or bachy kisi bhi jaga aisi harkaton or baton ko krny sy guraiz krty hain.Jaisy jaisy bachon ki parwarish hoti rehti ha wo apny ird gird ky mahol or gathering sy aisy both sy alfaz or batain sekhty rehty hain jo ikhlakiyat ky khilaf hoty hain.Bachon ko ikhlakiyat ka sabak sekhany ma bary bary lectures belkul baikar sabit hoty hain .Bachon ki observation power bht strong hoti ha wo mahol sy sekhty hain phr usy implement krty hain missal ky tor per agr ghar ky sary afrad bagaidgi sy namaz parhty hon or zarori kamon per namaz ki adaaigi ko foqiyat dyty hon to bachon ma ye bat zehan nasheen ho jati ha ky namaz ko kabi nahi chorna chahy kitna hi zarori kam q na ho.

3 comments:

  1. bachein ko ham chota kehte hain ya baat na manne pe ziddi aur batameez k laqab se nawazte hai... mgar un me yh qualities ghar k bare hi dalte hain.

    ReplyDelete
  2. tmhari post parh k andaza hogeya hai k tum apne tuition k bachon se bht impress ho :P :)

    ReplyDelete
  3. har bacha apny ghar ko represent karta hai society mai

    ReplyDelete