Alerts

United we stand.

Friday, April 05, 2013

NOJAWAN NASAL MAY PHELTA HOA CIGARETTE KA NASHA



               Cigarette Noshi ek aesi adat hai jo kisi lat sy kum nahi hai. Cigarette pinay wala shakhs ek nasha awar insan ki tarha khud ko is adat k aagy majboor pata hai. Wo na sirf Cigarette khareednay per apni aamadni ka ek acha khasa hisa kharch karta hai, balky apnay liye koi muzar-e-sehat bemariyan bhi khareed lyta hai.



            Aaj kal jis taraf nazar jati hai wahien humari Nojawan Nasal Cigarette peeti hoe dikhae dayti hai. Humari Nojawan Nasal Sir Dard, Ghum-e-Rozgar, Depression, or Ghum-e-Ishq k liye ek aazmuda dawa k tor per Cigarette ka istemal karti hai. Is Nashay may molavis Taleem yafta larkay hi nhi balky larkiyan bhi shamil hain. jo ye bat achi tarha say janten hain kay Cigarette unki sehat k liye kitna khatarnak hai. Lekin phr bhi wo isay apni zarorat ka naam dykar istemal krtay hain.



         
          Cigarette Noshi ek azab hai. Iski zad may sirf is kay peenay wale hi nhi balky aas pas rehne wale log bhi mutassir hoten hain. Cigarette Noshi may 3 muzar-e-sehat ijza Nicotine, Tar or Carbon Mono Oxide paye jaten hain. Jis say na sirf Cancer balky Dil ki bemariyan, High Blood Pressure, Bronchitis or Alzymerz jesi bemariyan payda hoti hain.



          Is liye hume chahiye kay logon mai Cigarette Noshi k Nuqsan ujagar karen, take humari anay wali naslen Nasha awar chezon kay istemal say parhez karen. Kyun k Cigarette Noshi na sirf Muashi balky Muasharti bemariyon ki bhi jar hai. Hume koshish karni chahiye kay is burai say apne Muasharay ko Pak kar k ek sehat mand Muashra tashkeel den.        
BY:
RUBY SAJID MALIK

                            

7 comments:

  1. good views about smoking

    ReplyDelete
    Replies
    1. If you are just getting started, joyetech atopack penguin is definitely the best choice. Besides joyetech procore se atomizer has absolutely amazing flavors, produces lots of vapor, has a great battery, is extremely convenient to use. Shipping is fast and vapesourcing.com customer service is friendly. Nothing bad to say.

      Delete
  2. parents ko chae kay wo apne bachon par nazar rakhen. unay nasha awar chezon k use say mana karen.

    ReplyDelete
  3. Humari nojawan nasal educated ho kar bhi ghalt rah pr chal rahi hay.

    ReplyDelete
  4. good work ruby

    ReplyDelete
  5. Mere apne cousin ki death smoking krne say hoe hain unhay cancer ho giya tha jis ki wajha say unki death ho gaye :( mai sab boys and girls ko yehi advice don ga kay khudara please apne baray may nahi to apnay parents k baray may sochen wo ap logo say kitna piyar karty hain unhay apki zrorat hai apni janay in nashon par mat gawaen.

    ReplyDelete
  6. nasl ujaar deta hay nasha hum jaan lara den ge
    roken ge is ko barhnay se hum mulk bacha len ge

    ReplyDelete