Alerts

United we stand.

Thursday, April 04, 2013

CNG STATION CLOSURES SCHEDULE




CNG ek aesi bala ka naam hai jo chund saal pehle Pakistanion k liye rehmat thi . Kyun kay is ne ghareeb admi per petrol k nisbat bohat kam bojh dala tha. Awam khush thi k chalo gadi chalana ab humari pohunch mai hai.

lekin yeh khushi chund din ki sabit hoi. humare mulk ki unfavourable policies ne CNG ko bhi awam ki pohunch se door ker dia . Jo admi gadi lene k khuwab dekhega is daur mai, woh dar k uth jayga k bhai CNG ka kharcha kese uthaonga.

Mehngai ne ghareeb aadmi ki kamar to torhi hi hai lekin jo CNG band kerne ka ek aur rivaaj muasharay mai raij hogya hai is kay liye toh mai hukumat ko dil se shukriya ada karna chahongi... aesa koi harba na chora apnane se jis se awam ki bardasht aur tahammul ka imtehan liya ja sakay... phir bade fakhr se seena taan k kehte hain k hum ne apni hukumat k 5 saal mukammal kiye.

Yahan baat ho rahi thi kay CNG ko nemat se bala mai kesse badla humari hukumat ne. Aesa kaarnama humari hukumat k elawa koi de bhi nahi sakta. Pehle qeemat her haftay badhate chale gay yahan tak k petrol k taqreeban barabar ja pohunchi. phir jab isse dil bhara to cng band karnay ka riwaaj qaim kiya jo k aj kal hum dekh rahe hain.

Ab jab university jana ho tu pehle 1 ghanta is intezaar aur umeed mei
kharha rehna parhta hai k bus aygi, bus aygi ... jab aati hai toh insan k khaday hone ki jaga nahi hoti .... phir conductor bhari hui bus mai awaz lagata hai,” Aagay barho jaga banao auron kay liye”.…

Yeh toh thi hamari kahani un ka bhi kuch acha haal nahin jin ki garhiyan CNG per hain. Kai kai dino tak CNG stations band kar diye jatey hain phir jab khulty hain toh garhiyon ki itni lambi line lagti hai kay kuch log toh apna bistar bhi gari mai hi rakhtay hain kay kiya pata kab number aye???!!!.

By:
Ifrah Ansari

2 comments:

  1. ryt... road pe buses kam ho jati hain aur kafi kafi dear tak bus ka itezr kerna perhta hai... aur bus stop pe logo ko dkh ker mobile snatchers ajate hai.. :/

    ReplyDelete
  2. absolutely rite!subah sawery ofice jatay huey jab cng stations per nazar parti hai to aisa lagta hai cng FREE mein bant rahi hai :-)itni lambi lambi line lagi hoti hai ke pocho mat.waqai aksar log to borya bistara sath laty hein.mujhe afsos is cheze ka hota hai ke Allah ka shukr hai mein to monthly pay wala hoon.in becharay gareb logon ka kia hota hoga jo roz kamany khany walay hein.adha din to yun hi line mein zaya hojata hoga.it means 50% earning.aaj kal pehly hi pareshaniyan aur tention kam hein jo yeh nai musibat achuki hai becharay in logo per!

    ReplyDelete