Alerts

United we stand.

Tuesday, March 19, 2013

POLIO PAR HAMLAY KAY KHILAF AWAZ


                Guzishta dinon bary dukh sy ye dil kharash khabar parhi k Pakistan may askariyat pasandon nay bachon ko Polio say bachao k qatray pilane wale muta’addid mard or khawateen raza karoon ko goliyan mar kar halak kar diya hai. Is khabar ko parhne kay bad baaz logon ka ye sochna tha k askariyat pasandon nay aysa is wajha sy kiya, kyun k  wo samajhte hain kay polio k qatron k nam par musalmanon ki bharti abadi ko roknay k liye ye Maghreb ki sazish hai. Or in qatron say nasal kashi horahi hai.            

   Hindustan may bhi baaz musalman or imam-e-Masjid is tarha ki soch rakhtay hain par waha mamla sirf appeal tak mehdood hai kisi ki jaan lene ki koshish nahi ki jarahi. Lekin Pakistan may to askariyat pasand tashaddud par yaqeen rakhtay hain. In k lie to yahi ek tarika baki bacha hai k jo in ka hukam na many usay goli mar do. Jese Malala Yousuf Zai nay Talban ki Taleem rok dene ki hidayat par amal na kiya to Taliban nay usay goli mar di.     

       Zindagi anmol hai, ye itni sasti nahi k jab dil chahay Kisi ki zindagi ka charagh bhuja do. Yehi hota to waqt k sath duniya say insan ka nam-o-nishan mitt chukka hota. Zindagi qeemti hai or Islam nay insani jaan ki hurmat qaim ki hai.          

 Pakistan may shidat pasandon say pucha jae k akhir wo konsa shar’rai hukam tha jis kay tehet unhonay Polio k qatray pilane wale raza karoon k liye mout ki saza chuni? In inteha pasandon ko ye amal to ghalt laga magar in k lie ye koi bari baat nahi k manshiyat ismagal kar k, is kay peson say aslah khareed kar hazaron lakhon bay gunahon ki jaan li jae.       

  WO kehte hain k Polio k qatray pilane say bachay baray hokar tolidi sehat say mehroom ho jatay hain. Kiya unhonay science ki bunyadoon par tehkeek ki hai? Ya phr mafruzon or apne tasawur par mubni Khuf-o-harass phyla rahey hain? Agar ye samajhtay hain k Polio kay qatray pilana khatarnak hai to inhay apni soch ko sahi sabit karna chahiye.ya phr inki khuwahish hai k in kay bachay Polio jesi khatarnak bemari say mutassir ho kar mazuroon  ki zindagi basar Karen?        

Aqwam-e-Muttahida k tehet Polio say bachao ki mayhem’ Duniya ko is kay bais hone wali mazuri say pak kar k humare bachon ki zindagiyon ko sehat mand or khush gawar banana hai. Ye amal Duniya may Musalmanon ki bharti abadi ko roknay k liye bilkul nahi hai. Ye sirf askariyat pasandon ki sazish hai k anay wali nasal ko mazuri mai mubtala kar diya jae, take any wale waqt may inky rehmo karam or kherat par apni zindagi basar kar sake. Ye bundooq k zor par Musalmanon ko jahliyat k tareek dour may lay jana chahte hain. Hum Musalmanon par ye zimedari aid hoti hai k jahliyat kay farogh ki is koshish ko khatam kar dale.    

   Hume apni nojawan nasal ko tayar karna chae k wo askariyat or inteha pasandi ki is lanat ko roknay k liye uth khary hon, kum az kum Polio ki had tak to sub ko safe aara ho jana chae, inke khelaf awaz uthana chae kyun k hume humari qom k bachon ko mazuri sy bachana hai. 

  BY:RUBY SAJID MALIK    

2 comments:

  1. polio team per hamla humare liye sharmindagi ka bais hai... humein apni soch ko wasi kerne ki zarorat hai...

    ReplyDelete
  2. yes hum sab ko apne bachon ko bachanay k liye awaz uthani hai. polio k drops humare bachon ko mazuri say bacha sktay hain. hum apne bachon ko mazouri ki zindgi basar nhi karwana chahtay.

    ReplyDelete