Alerts

United we stand.

Friday, March 29, 2013



AZAD MULK KEY SIYASATDAN
Aaj hum aur aap ek azad mulk main sans ley rahy hain. Apny ehl-o-ayaal key sath khushi o musarrat bhari zindagi guzar rahy hain. Hamein azadi-e-raee ka haq hai. Humein hamary bunyadi huquq hasil hain. Zindagi ki her asaish aaj hamary pas mojud hai. Hum apny Deen per bagher kisi jabar key amal kartey hain. Ye asaishien, ye khushiyan, ye musarratien, ye huquq na hoty Agar Millat key Pasban na hoty…… MOHAMMAD ALI JINNAH na hoty
Quaid-e-Azam key bey daagh siyasi kirdar, nasbul aien aur ishq ki had tak apney maqsad key husul ki bunyad per hi aaj hum AZAD hain. Baba-e-Quom ney us waqt musalmano ka sath diya jab un mai ittehad o ittefaq ka fuqdan tha jo aaj phir sey hamari quom mai parwan charh raha hai. Us waqt bhi musalman iqtasadi, taleemi aur sarkari shoboo main pechy thy or aaj is azad mulk mai bhi hum maeeshiat, taleem aur sarkari idaron mai emandar afsaron ki kami ko shiddat sey mehsus kar rahy hain. Quaid-e-Azam ki hamesha Haq ki himayat ka aetraf un key siyasi hareefon ney bhi kiya. Aur ab key siyastdan aik dosrey per keecharh uchalny ka koi mouqa zaya nahin kartey. Quaid-e-Azam logon key jazbat key sath kabhi nahin kheltey thy, na hi kabhi mazhabi honey ka dhong rachaya aur na hi unhien aj key siyasatdano ki tarah jazbati taqreerien karna atien thien, wo apni her baat dalail key sath peesh kartey thy. Jo kehtey usy pura kartey hamary Wazir-e-Azam ki tarah nahin key kehty bijli ka masla isi saal khatam hojayga, yeh masla toh khatam nahin hua haan in ki aeeni muddat zarur khatam hogai. Quaid-e-Azam ki aik sift bhi in logon main nahin aur kehty hain key ye log mulk ko Quaid-e-Azam ki umeedon jesa PAKISTAN bana key dikhaengien. Shair-e-mashriq Quad-e-Azam key barey main kehty thy key,
          “He is INCORRUPTIABLE and UNPURCHASEABLE”
Afsos key yeh jumla hum apny siyasatdano key liye istamal karney sey qasir hain. “Aye ALLAH mery mulk ko apney AMAN main rakh.” AMEEN

3 comments:

  1. baishak QUAID E AZAM jaisy leader ki mesal humain nh milti.aj b pakistan ko ak aisy he leader ki zarorat ha kash humain un jaisa leader mil jay AMEEN

    ReplyDelete
  2. baishak QUAID E AZAM jaisy leader ki mesal humain nh milti.aj b pakistan ko ak aisy he leader ki zarorat ha kash humain un jaisa leader mil jay AMEEN

    ReplyDelete
  3. Quaid e Azam ne ye mulk musalmanon k aman o amaan k lye bnaya tha par yhan par musalmano ka hi sukh chain cheen lia ha, humare hukmuran is bat se ghafil hain k humare qaid ki rooh se is se b bhot taklef hoti hoge :'(

    ReplyDelete