News
channels ke baz programs ka manfi pehlo
Hum sub rozana ki bunyad pr news
channels ke aksar programs ma media ki azadi ki batain sunty hn liken baz oqat
aisa mehsos hots ha ke jaisy media apni is azadi ka kahin na kahin galt istamal
kr raha ho.ma khas tor pr yahan 2 tarhan k programs ka tazkara krna chahon ge
ak to saiyasi talk show or dosry paid programs ya aisy programs jin ma crime
reports dekhai jati hn .
TV pr rozana latadat saiyasi talk
shows dekhay jaty han.Jin ma ak host or 3 ya 4 alg alg parties sy taluq rakhny
waly politicians kisi ak topic pr behaz o mubaheza krty nazr aty hn.In ma sy
baz talk shows to apni zemadari pori imandari sy ada krty hn jb ke baz ka
maqsad show ki rating bharhany k sewa or kuch nh hota.Show ki rating barhany ya
yon kehey k awam ko or zeyada bewaqof bnany k ley ak to mehman seyasat dano ko
script k tehat larwaya jata ha or baz oqat anker person aisi zaban or tone ka
istamal krta ha jis sy start plus k dramo ki jhalk nazar ati ha.Hr ak talk
shows ak sawal sy shuru hota ha or ak sawal pr he khatm hota ha or hasil e
guftago kuch nh.Tamam mehmam politician apni rati ratai bat pr ary rahty
hn.Pora ak ghanta anker person or mehmano ki taraf sy alfaz ke teer barsay jaty
hn liken hr teer apny neeshany pr lagny k bjay zameen boos ho jata ha.Program k
ikhtatam pr mehman politicians ak dosry sy hath milaty hoe mubarik bat dety hon
k k mubarik ho awam ko ak or ghanty tak bewaqof bnay rakha.
In shows k elawa both sy aisy
programs b dekhaiy jany lagy hn jin ma criminal stories ka remake bna k deikhaya
jata ha.In programs ko dykhny sy koe faida ho na ho lyken jaraim krny k both sy
nay tareeky sekhny ko mil jaty hn.Aisy programs ko dykhna sirf or sirf waqt ka
zaiyan or zehni tanao ma izafy ka sabab
hn.
Media channals ki policies pr tanked krny
k bjay mujy zeyada behter ye laga k hum khud aisy programs ko dykhny sy guraiz
krn.
BY:
Shabina Habib
BY:
Shabina Habib
G sahi kaha shabina ese programs sy awam crime krne k tarekay sekhti hai.isi wja sy hmare mulk mai crime barh rae hain. hmara media logo ko ye sb dekhata hai jis sy log zehni tanao ka shikar hojate hain.islie awam ki behtri isi mai hai k wo is tara k programs na dekhen.
ReplyDeleteshabina agree with u all these programs are fake & wastae of our tume bcx is hukomat ne kch ni kia or umeed ha agli ane wali hukomat b humain kch ni dene wali swae dukh, pareshani or ghurbat k
ReplyDeletein programs ki waja se leders ki izzat aur kam hogae hai......... unko itna hyper kia jata hai k woh koi na zeba alfazz istamal ker lete hain.....
ReplyDeletewaqi in programs ki waja sy hi crime rat burh raha ha or logo crime kerny ka tariqa bi araha ha
ReplyDeleteEn shows k anchors i feel k murghoo ki larraiye kerwatey hai ;) issues b wo disscuss kiye jatey jin ka awam ki Aksariyut se koi taluq nahi hota. Bijli es waqt sub se main gigantic he khoo ga mai tu prob hai pak mai.phir roads aik dhang ki highway tuk tu humare rullers bana ni sake 66 salo mai. Or anch baat kertey fla es party jarey hai.fla ne aj yei biyan diya hai. I think k on topics per baat ho jin ka baraheyrasst awam se taluq ho.na k waSteg of time
ReplyDelete