IS
jahan-e-fani ko aam fehim may Duniya kaha jata hai. Aankh khultay hi Bacha jis hasti
ko dykhta hai wo uski MAA hoti hai. Swaal ye hai k MAA APNE BAITAY SY KIA
CHAHTI HAI?
Jab Bacha
duniya mai ata hai to MAA din raat k farq ko mitta kar uski parwarish karti hai
or us sy ye tawaka rakhti hai k uski mehnat ka aks usay Bachay ki shakhsiyat
mai nazar aye. MAA apne Baitay sy ek Pyar bhari muskurahat chahte hai. Wo apne Baitay
ki masrufiyat sy bakhubi waqif hoti hai k iska baita muasharti zimedariyon ko
pura karne may kis qadar masrof hai. Agar baita is masrof zindagi mai say
rozana chund ghantay nikla kar apni MAA ki kheriyat daryaft kar lay to Baitay
ki thori si mohabat or tawaja bhi MAA ko khushi dayti hai.MAA ki asal dolat
uski olaad hoti hai. Wo apni olaad k liye apna sub kuch qurban kar dayti hai.
Wo bus itna chahte hai k Jese bina ehsan jatae wo apne Baitay ka bachpan sy Khayal
rakhti hai bilkul isi tarha baita bhi iski zroriyat ka Khayal rakhe. Iska Ehtram
kare. Take us say wabista tamam rishtay, Bahu, potty, pottiyan bhi isi ki tarha
iski MAA ki izat karen.
Lekin MAA ki is mohabat or mehnat k auz Aaj
kal k Beitay apni MAA ko waqt nhi detay, balky ye taana detay hain k har MAA
apni olaad ko isi tarha paal pose kar Jawan karti hai, aap nay koi Anoka kam
anjam nhi diya. Wo apne waldein ko bojh samajhtay hain. Biwi k anay k bad MAA
sy milna bhi pasand nhi karte. Unay ghar say nikla kar Edhi center ki Rah
dikhatay hain. Afsos k sath kehna par raha hai k bohat say Baitay apni is (MAA)
Jannat ko kho jane k bad unki ahmiyat ko samajhtay hain.
Kiya
MAA ki ye choti si khuwahishat itni mushkil hai k ek baita unko samajh nahi
pata?
Kiya MAA apne Baitay sy ache behavior ki umeed
bhi nhi rakh sakti?
BY:
RUBY SAJID MALIK.
maa k qadmoon tale jannat hai.. kehne ko to choti se baat hai magr agar ghor kia jae tu bht bari aur ap k dunya r akhrat ko sawarne ki baat hai..
ReplyDeleteaj kal k bache nafarman hogae hain or in sab ki sab se bari wja media ha us pe dkhaae jane wale dramon or fahash chezon ko itna promote kia ja rha ha k har koi is taraf jhuka ja rha or baron ka adab o ehtram bholta ja rha ha
ReplyDeletemother is a gift of GOD
ReplyDeleteolad ko apny maa bap k sath bura salok krty hoy ak br ye zaror soch lena chahy k jo wo aj apny walaidan k sath kr rahy hn kl ko wohi salok un k bachy b un k sath krn gy q k jo boo gy wohi kato gy
ReplyDeletebetay agar apne parents ki ahmiyat samjh jaen, unka ehtram kren, une waqt day to ye duniyan mai hi jannat hasil kar len. par afsos apni biwi k any k bad wo ye bhol jaten hain k unkay parents nay unke lie kitna kuch saha hai.
ReplyDelete