Alerts

United we stand.

Friday, March 15, 2013

UMEED KI TAQAT

Kehte hain umeed pe duniya qaim hai. Yeh jumla bachpan se meri sama'aton se takrata raha hai lekin kabhi mujhe is jumlay ne mutassir nahi kia. mei sochti thi k akhir kia hai yeh Umeed jis ko itna ahem bana ker humare bade hume nasihat karte hain...
Achay mustaqbil ki umeed, achay paper honay ki umeed, achi nokri ki umeed, achi hukumat ke anay ki umeed aur najanay kitni trha ki umeedein hoti hain. Lekin jab Mei ne university mei dakhla lia, tab mujhe andaza hoa k umeed kia hoti hai. Mei ne apne mustaqbil k baray mei khuwab dekhna shuru kiye k zindagi mei kuch ker k dikhaongi, apne waldein ka nam roshan karungi. Lekin pehle imtehan k natijay ne mujhe mayoos kiya.
Lekin waldein ki umeedon pe pura uterna tha, phir se koshish ki aur dil laga ker mehnat ki, is umeed se k ab ki bar natija meri umeed ke aein mutabiq ayga.
Woh din mujhe yaad hai jis din natija nikalna tha, Mei bahot ghabrai hoi thi lekin pur umeed bhi thi. Phir jab natija nikla tu meri khushi ka thikana na tha. Aus din mujhe sahi maenon mei umeed ki taqat ka andaza hoa. ab mei her cheez ko ek alag aur mukhtalif zaviye se dekhti hun.
Log kehte hain k humare mulk mei ab kuch nahi raha, lekin mei kehti hun keh kufraa'ne nemat hai k apne mulk ko chor ker dosre mulk ki khidmat ki jay. Log kehte hain k humari hukumat chor hai, Mei kehti hun k koela ek mushkil aur takleefde Safar tay ker k heera banta hai. Log kehte hain k elections saaf aur shafaf nahin hosaktay. Lekin mei pur umeed hun k elections waqt per aur saaf shafaf hongey aur taareekh qaim kareinge aur mulk ke liye mufeed sabit hunge.. Kia apko bhi umeed hai??
BY:
RUBY SAJID MALIK

6 comments:

  1. very well written article , now even i am hopeful that our future is bright. No drone attacks, sectarian kllings and bomb blasts etc can stop Pakistan to prosper...
    remember , unity is the most powerful tool we can use to fight with the external and internal enemies of the country... God Bless you!!

    ReplyDelete
  2. Definitely Umeed pe dunya qaim hai or jis ka andaza ap ko waqt k saath saath hujata hai.. but is blog ka title kya hai ?

    ReplyDelete
  3. Umeed pe hi tu dunya qaeem hai.. jese new govt se umeed.. Btw dil tu nai chahta in leaders se koi ache umeed ki jae magar phr yh soch k kerna parta hai k:
    "Na Umeedi Kufar Hai"

    ReplyDelete
  4. ruby bilkul thke kaha apney qky humary mulk ky halat to humy gaher sy nikal ney ki ijazet ni dyty mager ya umed hi ha humre apny ALLAH per ky wo humare hifazet kary ag or is umed per hum roz apny kamo ko ker ney kylya nikalty hn

    ReplyDelete
  5. BESHAK ! Umeed hai. INSHAA ALLAH humare mulk main is dafa pur sukun elections honge, aur hum taraqqi ki taraf pehle kamiyaab qadam barhainge.
    Good Joob Miss Ruby Sajid. :)

    ReplyDelete