Alerts

United we stand.

Monday, March 18, 2013

AWAZ !

Monday 11th March,2013
 youth forum ki arrange karda conference "Change through Media" k passes k bare main aik larki ne inform kiia, Kiun k hum Mass communication k talbat hain, hum ne pur josh andaaz main os conference ko attend krne ka faisla kiia. Passes khareedne se pehle apne waldain se ijzat li, "Kia yeh university ki taraf se trip hogi? kia university le ja rahi hai? "on k is sawal k jawab main hum ne yeh baat saaf kr di k " NAhin ! university wale hume ese kahin le k nahin jate, wo ksi bhi trhan k co-curricular activity main hissa lene pe bilkul aprreciate nahin karte." yeh bat sun k hmare walidain ne hum se kuch aur sawal kiye. " Program kis ka hai?". Jawab main "Youth forum ne arrange kiia hai, Anwer Maqsood, Mujahid Barailwi, Faisal Sabzwari waghera wahan guests hain " yeh sun kar hmse kaha gaya theek hai passes khareed lo aur hume dikhana. passes dikhane par aur yeh jaan kar k hume youth forum convence bhi provide karegi hme ijazat mil gai. Kiun k sari larkiyan aik jagah apne point bna skti thi tou humne aik point bnaya jo k university k qareeb waqe tha lekin University ka os trip se koi lene dene nahin tha! 

Chaar dinon ki excitment, preparation k baad wo din aya jab hume jana tha os conference main. Saturday 16th of March, 2013.
8:30 am hume aik maqqam par jama hona tha jahan hmara point humara intezaar kar raha hoga. puhanch kar dekha tou wahan koi point nahin tha. pareshani k alam main sab ko sms kiia tou pata laga point University k gate k bahar khara hai. point main ja kar maloom hua tou mahol na khushgawar maloom hua. university k guard as usual bossy andaaz main driver se kuch bol rahe the. ksi se suna k university ki intezamiya k aik shakhs ne a kr kaha k " Miss Saima ko pata chal gaya hai sab ander ain" . Wahan se sab ka yeh sawal k " Miss Saima ka is main kia amal dakhal hai ? Miss saima ya university ki taraf se tou hum nahin ja rahe... University ko humare kahin pe bhi jane se aetraaz kiuun ho rahe hain jab onka is se koi link hi nahin hai. "
Hume university main bulwaya gaya. haan la k humara koi concern nahin tha university se lekin phir bhi hum ander gae.Ander ka mahol kuh uun tha k hume VC k room k bahar khara kiia... 4 adad teachers ne hmse sawalaat kiye, aur invitation milne k bawajood is conference se la taluq khare hum se sawal kar rahe the. Aik larki ki apni maa se ghalat bayani par hum sab par ilzaam laga, humse humare ID cards,NIC cards le liye gae, humse application likhwaai k university ya ksi bi teacher ka is trip se koi concern nahin aur hme apne ghr se ijazat mili, sab se signature karwaae, VC ka puhachwaya aur hme aik Class room main Bndh kar dia gaya....
kuch dair hme akela chorne k baad 10 10 minutes k waqfe se teachers ko bheja aur alag alag sari teachers ne hme zaleel kiia aur hme bewaqoof kaha.

phir hume university main qaid krne ki dhamki di aur kaha " Apne parents ko bulaain wrna ap sab aj yahin rahiange chahe ap sab ko yahan 5 hi kiun na bj jaain." Hum aik qaidi maloom hote the... lagta tha humne koi jurm kiia hai, ksi intehaai nazaib kaam main pakre gae hain... Bohot kuch huua. akhir kaar hme apni be gunahi ka subut apne parents ko bula kar dia. (Kia humare parents itne farigh hote hain ? kia wo humare ae din masloon ki mazammat k liye hain? kia har parent asaani se har wqt available hota hai? aur kia agr itna asaan hota humare walidain ka ksi bhi waqt kahin ana jana apna kaam /ghar chor k tou hum Van ka intezaam kiun karwate ?) jin k gharon main masla tha, jin k walidain na a skte the onhone ne yeh request ki k humare walidain se phone pe baat kar lijiye tou yeh bhi aik bht bara masla tha. Walidain k ane par walidain se likhwaya k wo humare walidain hi hain ... WAH!

Humari trip tou kharab ki hi, Humse mujrimon wala suluk kiia, hume bhari university main khulle aam zaleel kiia, humara wqt aur pese zaya kiye, humare  walidain ko bulwaya aur on se bhi sawal kiye, puri university main mazaq bnaya. is waqiye k baad sirf hum hi nahin ... humare pure department ki larkiyon se sab ne sawal kiye. onhe sharminda kiya. Onhe bila wajah is masle main dhakela aur humara sath dene k liye koi humare sath nahin ... Kia humari koi izzat nahin? Kia humara qusur srf itna hai k hum Media k students hain aur hmne aik media se related conference attend krne ka irada kiia? ya phir hmara qusur srf itna hai k hum Larkiyan hain ya larkiyon k idare main zere Taleem hain.

Aik jagah larkiyaan keh k hawwa bnate hain, hmari protection k gane gate hain dusri jagah hmari hi toheen main barh charh kar hissa lete hain. Aik jagah hume lehaz, saliqa, sharaft, haya ka lecture dete hain, dusri janib hume zaleel o khuaar, beizzat aur hum par tohmaton ka samandar khara kar dete hain. kia yehi aukaat hai Aik aurat ki Humare mulk main, humare mashre main, humare taleemi idaron main? 

Hume asmaan chhuu lene ka bharosa dilate hain. "Larkiyan hain tou kia hua , ksi se kam hain kia? " Lekin aik hi pal main humare paron tale zameen khhech lete hain. hume haqarat ki nazron se dekhte hain. Jab hmara aurat hona itna hi chubhta hai tou kiun hume dor-e-jahalat ki trhan zinda dargor nai kr dete ?


Aik choti si baat hui. Faqat chota sa masla tha. Os masle ko apni anaa ka masla kiun bana dia gaya? jab humari zimm-e-daari nahin le skte tou khawateen k idare main kiun apna waqt zaya kiya ja raha hai? kiun on khawateen ki zindagiyon main mazeed masail peda kiye ja rahe hain? ye faqat masla hai apni apni soch ka. Insaan dunya badal skta hai agr wo wasi soch ka malik ho. 

Allah ne Betiyon ko rehmat bana k bheja hai. Is rehmat ko rehmat hi smjha jae aur on par zulm kar k khud ko azab se bachaya jae tou behtr hai.
 Sundus Haroon.

18 comments:

  1. This is very bad...our university has always been very unsupportive regarding these kind of activities, especially our department. Although our department should encourage and appreciate these kind of activities but unfortunately it does not. I strongly condemn this ungraceful treatment which teachers and VC has done with you people.

    ReplyDelete
  2. mian tumhari baat pr aitafaq karti hun. humay zaror stand lena chahiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. This comment has been removed by the author.

      Delete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
    Replies
    1. U know kis type k Rumors phel rahe hain puri university main ? MASS COM. dept is highlighted everywhere... Allah rehem kare sab par.

      Delete
  4. it was really very humiliating, our parents had to give proofs that they r our parents , its simple ridiculous... am fedup of this uni....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Same here... Hum adult ho gae hain n they dnt care about our respects. apni respect ka tou khayal ka chor hi dia jae coz onko apni izzat ka khayal hota tou hmare sath esa na karte.

      Delete
  5. i am in complete favor of sundus n we should do sumthing against all this....its not the matter of attending conference its the matter of humiliation that we went thru...

    ReplyDelete
  6. waqi bilkul thke kha ha apney or us din kia ho raha ta wo hum sub ney dakha hn ager ya ap log ko apna samjhty to un shakshs sy khtra ta apne convance dy dy sekty ty or ya log womenday per program kerwaty hn baht show kerty hn joht ha sub asa lagta ha jesy villages my girlz per pabundi hoti ha wesy hi humy uni my jaker lagta ha hum sub ko awaz uthani chay

    ReplyDelete
  7. itna sab sune k bawjood agr ye news humare parents ko pta lage k is uni ma masscom dpt badnam ha to wo b yhe kahenge yhan se hatwa dia jae to hi better ha qk wo apne bachon ko prhne bhejte hain par jis uni ka nam badnam ho specially jis department unki betyan prh rhe hon wo badnam horha ho to konse parents chahenge k wo parhe yhan???
    2nd ye k ALLAH kare uni banned hojae to hi better ha bcx ye uni is qabil ni ha grls uni ka mtb ha grls ko khuli azadi di jae wo jo chahen uni ma reh kar kren qk yhan boys ni hain to phr q mobile pe pabndi lage q compuer lab band ki gae uniform white sab hi pehn rhe par us ma b ye karahi hua wa ya kch phol pode na bane hun simple ho ary yar uni ki administration kia bachon k hath ma hum uni level pe agae hain na k skool coleg itni restrictions to coleg ma b ni hote the :/

    ReplyDelete
  8. dosri bat ye agr itni restriction lagani hain na grlx uni ma grlx ko azadi ni jab k wo ye sab grl k darmyan reh k kr rhen to kch din phle meri ami ne kha tha uni ma bat krengi ma ne hi unko kha tha esa ni hota par ab i think she was right and ma ne unko keh dia ap waqae bat krna chati hain to zaror kren jab uni am aaj wale aye the frid ko women day par to am ne ami ko btaya tha she said that:
    " grlx uni am gents kese allow hain q ane dia media walon ko"
    to ma ne hi kha tha unhen yar wo to srf media wale uni ma sir b prhate chalo wo to sir hain chalta qk aged hote par ap dekho computer lab ma ak lrka rhta, cafeteria ma larke hote, tuc shop ma b, admission office ma b, har wqt punes ghomte rhte hain agr grlx uni ha to pori hi grls ki krdo na boys q ate rhte uni ma i said to my mother if u want to talk them then now u can bcx we want justice :/

    ReplyDelete
    Replies
    1. exactly. hmare parde ki prwah nahin, humari azadi ki parwa nahin, humare sath koi riaayt nahin tou hume bhi nahin chahiye yeh double standards.

      Delete
    2. ok then sab apni mothers ya fathers ko bolo k wo b stand len meri ammi tayar hain k unko is chez pe issue ha baqi sab b apne parents ko bolo

      Delete
  9. this is ridiculous ... uni ka koi concern he nhi bech me any ka coz u peopel were not representing your uni ... bat tb hoti jb ap un ko represent kertin .... first thing techer ani respect khud kerwaty hain aur uni ka name techers he bnty hain ab agr esy teacher hon to wo kya chaty hain ?... kisi ko b hak nhi k wo bilwajah kisi ki self respect py attack kery and this is against human right... phrana mass com aur tareky lal masjid waly :/ sorry to say but no offence .. ap logon ko stand lena chye blky dosry depart sy b khin coz aj ap k sath hoa kl kisi aur k sath ho ga

    ReplyDelete
    Replies
    1. Strongly agree with Anonymous.me b aap sb k sath hon.ye buhat hi gathiyaa hrkt ki ha uni walon ne.aisi ki taisi hm log dhernaa dain ge uni k main gate pe.

      Delete
    2. yeahhhhh its DHERNAA time..hm sab ko mil k dherna dena ho ga wrna aisy hi chalta rehy ga sb

      Delete
  10. uni k bahir koi kuch b kren is sy uni walon ko issue nai hona chae. hm agr ghar sy civil mai arae hain to ghar walo ko reason bta kr ate hain.saturdy jo kuch hoa ghalt hoa. uni walo ko larkio ko is tarha bahir sy bula kr rokna nai chae tha. hum uni mai parhte hain pr pabandiyan dekh kr esa lgta hai school mai hain.

    ReplyDelete