Hamare yaha bohat si jaghon
par Aaj bhi parents apnay chotay or na samajh bachon ka Nikaah ya Engagement
kar dayten hain, ye sochen bina k aaya ye bachay baray hone par us rishtay ko
nibhana bhi chahen gen ya nhi? wo is rishtay say khush hon gen bhi ya nhi?
Bachon k bary hone k bad kuch
bachay in rishton ko nhi mantay unki nazar mai is tarha bachpan may teh kiye
jane wale rishtay ki koi ahmiyat nhi hoti. Q k wo apni marzi say shadi karna
chahtay hain. Par unkay parents une majboor karte hain k wo ye rishtay nibhaen
or wo bachon ki zbardasti shadi karwa dyte hain jis say bachay khush nhi rehte
or ek dosray say alehdagi ikhtiyar kar layten hain. Lekin kuch bachay ayse bhi
hotay hain jo in rishton ko nibhana chahtay hain une ahmiyat deten hain. Unke
liye wo rishtay bohat maine rakhtay hain jo unkay parents teh krtay hain.
Baaz dafa ye rishtay tottnay ki wajha khud bachon k parents hoten hain. Q
k bachon k bary hone k bad kabhi kabhi parents mai is qadar ikhtelafat pae
jaten hain k wo bachon ki zindagi barbad kar deten hain. Phr unkay liye apne
bachon ka Nikaah ya Engagement koi maine nhi rakhta. Tb wo khud in rishton ko
tor kar bachon say unki khushi cheen layten hain. Ye sochen bina k is faislay
say unki olaad par kiya asar pare ga.
Meri assay parents say request hai k wo apne bachon kay rishtay is tarha
bachpan mai teh kar k unkay liye mushkilat Paida mat kren balky Bachon k
samjhdar ho jane par unki pasand ko mad-e-nazar
rakhtay hoe unkay rishtay munassib jagha par teh kar k apna farz bakhubi
ada karen.
Ø Apki
is bary may kiya raye hai?
Ø Kiya
parents ko Bachon k rishtay bachpan mai
teh kar dyne chahiye?
Ø Kiya
ye bachon k sath na insafi nhi hai?
By:
RUBY SAJID MALIK
nice post. kabhi kabhi parents shadi k mamlay may bachon ko apni pasand par majbor karte hay or ye ghalt hai.
ReplyDeletebachon ko majbour nhi karna chahiye balkay unki marzi say shadi karwani chahiye takay wo bhi apni life may happy reh saken
ReplyDeleteGood Work Miss Ruby :)
ReplyDelete