Pakistani
election
Ainda mah hony waly election sy Pakistani awam ko
koe khas umeed to nh hain.Zeyada tar awam ka kehna ha k peechly 65 saloon ma hopny waly elections ki tarhan is
bar bhi elections dhandli ka shikar ho jain gy. Preplanning ky tehat ak
political party jeet kr iqtadar ki kursi sambhal ly gi….mojoda hakumat apna
boriya bistara samait kr chalti bany gi …or nai hakumat nae hhtkandon or
tareekon sy mulk or awam ko lotna shuru kr dy gi…Khair ab is bary ma koe kya
paishan goi kr sakta ha ky nai aany wali hakumat kaisi ha gi.Sub ks manshor
dykh ky to aisa lagta ha ky sub sudhar gay.Sari parties kitni achi ho gai hain.
kitna khayal ha inhan pakisyani awam ka.Lyken haqeeqat to ye ha ky Pehly to
awam ko sunehry khab dikhaty hain or jb ankh khulti ha to bhaiyanak tabeer
samny hoti ha.
Agr in parties ko kisi shy sy tashbih dyni ho to
girgit wo janwar ha jo sari jamaton pr
fit baithta ha.Girgit ki tarhan rang badalna to inhain khob ata ha.Baz mamlat
ma to girgit ko bhi pechy chor dyty hain hamary politician lode shading ka
mamla hi ly li jia kya kya dawy nahi key gay kon kon sy wady nh ley gay jo aj
tak wafa na ho saky.
Is sary mamly ma kahin na kahin galt to awam bhi ha
5 salon tak hakumat ko kosti rehti ha or jab election ka mosam ata ha to ye keh
kr vote nh dalty ky dhandli he ho gi ye
nh sochty ky vote na dal kr khud dhanli ka moqa faraham kr rahy hain.
Pori awam sy ak guzarish ha ky is bar apny vote ka
istamal zoror krain. ye hum sub ka huq ha. Is sy pehly ky ye huq hum sy cheen
lia jay.tamam parties ki karkardagi ko dykhty hoy, hr pehlo ko nazar ma rakhty
hoy apna vote dain or achi umeed ky sath ALLAH sy dua krain ky ainda any wali
hakumat apny mufadad ko pas e parda rakh ky pori imandari or khalosy niyat sy
mulk or qom ky ley kam kry( Ameen)
Aankhon Ko Ho Sakay To
Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
No comments:
Post a Comment