(ALLAH
is enough for us and the how excellent a guardian is He)
“Keh
di jiae k ALLAH ak ha,ALLAH by naiyaz ha,na kisi ko jana na kisi sy jana or nh
is ky jor ka koe”
ALLAH ak hia, akaila ha, US jaisa dosra koe nahi, zindagi,
mout ,rizq, khushi, gham sub Usi ki dain ha. Wohi is duniya ko chalany wala ha,
Hr cheez pr qudrat rakhny wala ha. WO by-missal ha. Nahi US ka koe sharik ha,
nahi janasheen, na hi koe humsar ha, na hi USY kisi ki zarorat ha.sari makhloq
US ki muhtaj ha. Musalman ki pehchan ALLAH ki wahdaniyat pr yakeen rakhna ha.Hum
sub is bat ka zaban sy iqrar to krty hain ky hum Usi ak zat ky muhtaj hain
liken najany qun bazuqat hum dosron ky muhtaj bun jaty hain kabi dosron ky agy
gir giraty hath phailay apni majboorian or darkhwastain suna rahy hoty hain is
yakeen ky sath ky wo shakhs hamari paraishaniyan or uljhanain khatm kr sakta ha or kr dy ga.Ye janty hoy
bhi ky duiyan ma jo koi bhi ha bara ha chota ha taqat war ha onchi haisiyat or rutby
wala ha sub ALLAH hi ky mohtaj hain.ALLAH ky siwa na humain koe faida dy sakta
ha or na he nuqsan.Hum ak bar isi tarhan gir gira ky apni paraishaniyan apni
uljhanain pori umeed or yakeen ky sath ALLAH ky samny paish krain to WO qun
hamari madad nh kry ga WO to kehta ha k MYJHSY mango MA dn ga.Lyken phir bhi
hamara rukh badal jata ha hamari umeedain kisi dosri zat sy wabasta hony lagti
hain.
Bazuqat hum apny or ALLAH ky darmiyan kisi teesra ko
ly aty hain hum usy kehty hain ky wo hamari darkhast ALLAH tak pohncha
dy.
For example; agar humari friend kisi mushkil ma ho or wo
hum sy help lena chti ho liken wo apna message kisi third person ky zariye hum
tak pohnchay to humain kitna bura lagy ga.hum apni friend sy shikayat krain gy
k us ny directly hum sy bat qun nh ki hum yakeenan tumhari madad krty kabi
inkar na krty.
Aisa hi kuch mamla hamary or ALLAH ky darmiyan ha WO to
mari sheh-rug sy bhi zeyada hum sy qarrib ha humain 70 maon sy ziyada piyar
krny wala ha.WO wahid aisi zat ha jisy hamari dil ki bat hamari zaban pr aany
sy pehkly he maloom hoti ha.ye kamal sirf or sirf ALLAH ko hasil ha .ye sub
janty bojhty hamara yakeen kamzoor parny lagta ha.
Humain directly ALLAH sy mangana chahey wohi hamary masaeil
hal krny wala ha hamari madad krny wala ha bus iman ki pukhtagi shart ha.
No comments:
Post a Comment