Alerts

United we stand.

Monday, May 06, 2013

ZINDAGI HAR DUM KABHI KHUSHI KABHI GHUM


          Zindagi may 2 chezen bohat ehem hoti hain ek Khushi or ek Ghum. Khushiyan bohat mukhtasar mudat k liye aatien hain abhi puri tarha khush ho hi nhi pate k wo chali jatien hain, Na hi in k aane ka pata chalta hai or na hi jane ka or hum khud say Swaal karte rehte hain k kiya hum khush hain? Agar nhi to kyun nhi? Is ka simple sa jawab ye hai k khush hone k liye bari bari khushiyon ka intezar nhi karna chae, balky choti choti baton par jee bhar k khush hoa ja sakta hai. 

         Bazz log khushiyan hasil karne k liye dosron ko mosalsal dukh dyte hain. Dosron ki nakami mai hmesha apni kamyabi talash karte hain. Dosron ki khushiyan cheen kar khud gharz ban jaten hain lekin jo mehel kisi ki aarzuoon, khushiyon or umeedon ko mita kar banae jaen wo ziada paidar nhi hotay. Agar hum apni zat say nikla kar dekhen to humen andaza hoga k kitnay faraiz aysen hain , kitne rishtay ayse hain jo nibhanay say reh jaten hain.

        Insan sari zindagi rishtay hi nhi nibhata rehat balky inhay azmata bhi rehte hai.or jb wo aazmaish pr puray nhi utartay to in say dor bhagne lgta hain inhe nazar andaz karta hai.lekin rishtay azmane k liye nhi hotay or na hi in ko parkha jata hai.

       Jis tarha khushiyon ki mudat kum hoti hai bilkul isi tarha ghumon ki muddat bohat taweel hoti hai. Or mustakil dayra dal kar bheth jati hai. Kehtay hain ghum hi hain jo hmesha humara sath dyte hain. Azal say abd tak ye kabhi chor kar nhi jate. Or hmesha ye ehsas dilate rehtay hain k wo humare sath hain. Kabhi apnay piyaron k bichar jane ki surat mai, kabhi koi azeez chin jane ki surat mai, Kuch ayse dukh bhi hoten hain jo kabhi nhi dhaltay, kabhi kum nhi hote, nazron say ojhal nhi hoten, hmesha hare hi rehtay hain.

        Zindagi ahista ahista phigal jati hai or akhir ek din khatam ho jati hai magar ayse dukh hmesha taza hi rehtay hain.khushi may to humare sath har koi dyga lekin ghum bantnay ki fursat kisi k pas nhi hoti. Is surat mai behtar yehi hota hai dosron par inhesar karne ki adat ko chor den. Apnay masail or pareshaniyan khud hal karnay ki koshish kren. Or ye soch har waqt zehen mai rakhen k ghum ki raat kitni bhi taweel q na ho. Kabhi na kabhi to khatam hogi. Akhir raat k bad umeed bhari subha bhi to aati hai na. Ho sakta hai itne ghumon k bad bohat sari khushiyan bhi hmari muntazir hon. Hmen khushiyon mai “Shukar” ada karna chae or musebton mai “Sabar” say kam lyna chahiye. 

BY:
RUBY SAJID MALIK

1 comment:

  1. its true........... hum life may happy km or sad ziada hotay hay or iski wajha bi humare apne relative hoten hain, Jo Hume happy nhi rehne dyte hmesha,

    ReplyDelete