Alerts

United we stand.

Tuesday, May 14, 2013

PARENTS KI NADANIYAN



      Hamare yaha bohat si jaghon par Aaj bhi parents apnay chotay or na samajh bachon ka Nikaah ya Engagement kar dayten hain, ye sochen bina k aaya ye bachay baray hone par us rishtay ko nibhana bhi chahen gen ya nhi? wo is rishtay say khush hon gen bhi ya nhi?



      
         Bachon k bary hone k bad kuch bachay in rishton ko nhi mantay unki nazar mai is tarha bachpan may teh kiye jane wale rishtay ki koi ahmiyat nhi hoti. Q k wo apni marzi say shadi karna chahtay hain. Par unkay parents une majboor karte hain k wo ye rishtay nibhaen or wo bachon ki zbardasti shadi karwa dyte hain jis say bachay khush nhi rehte or ek dosray say alehdagi ikhtiyar kar layten hain. Lekin kuch bachay ayse bhi hotay hain jo in rishton ko nibhana chahtay hain une ahmiyat deten hain. Unke liye wo rishtay bohat maine rakhtay hain jo unkay parents teh krtay hain.


     Baaz dafa ye rishtay tottnay ki wajha khud bachon k parents hoten hain. Q k bachon k bary hone k bad kabhi kabhi parents mai is qadar ikhtelafat pae jaten hain k wo bachon ki zindagi barbad kar deten hain. Phr unkay liye apne bachon ka Nikaah ya Engagement koi maine nhi rakhta. Tb wo khud in rishton ko tor kar bachon say unki khushi cheen layten hain. Ye sochen bina k is faislay say unki olaad par kiya asar pare ga.

      Meri assay parents say request hai k wo apne bachon kay rishtay is tarha bachpan mai teh kar k unkay liye mushkilat Paida mat kren balky Bachon k samjhdar ho jane par unki pasand ko mad-e-nazar  rakhtay hoe unkay rishtay munassib jagha par teh kar k apna farz bakhubi ada karen.

Ø Apki is bary may kiya raye hai?
Ø Kiya parents ko Bachon k rishtay bachpan mai
        teh kar dyne chahiye?
Ø Kiya ye bachon k sath na insafi nhi hai?


By:
RUBY SAJID MALIK

3 comments:

  1. nice post. kabhi kabhi parents shadi k mamlay may bachon ko apni pasand par majbor karte hay or ye ghalt hai.

    ReplyDelete
  2. bachon ko majbour nhi karna chahiye balkay unki marzi say shadi karwani chahiye takay wo bhi apni life may happy reh saken

    ReplyDelete
  3. Good Work Miss Ruby :)

    ReplyDelete