Alerts

United we stand.

Tuesday, March 26, 2013



HAMEY BHI BUDHA HONA HAI……..!!!!!!!
Hamarey mashriqi muashrey main waldien ki khidmat aur tazeem per aj bhi bohat se gharaney sakhti sey amal kartey hain lekin jis tezi sey maghrib ki riwayat ko apnaya ja raha hai is ki misaal pehly kabhi nahin milti. Jab hum suntey thy key maghrib main aulad apney waldien ko old house bhej deti hai toh hamey taajub hota tha aur aaj hamarey mulk main hi buzurgo key liye panahgahien mojud hain. Ab koi is barey main apney khayal key ghorhey nahin dorhata, koi afsos aur dukh ka izhar nahin karta, kisi ko fursat nahin is barey main sochney ki.
Aulad chahti hai key waldien unki marzi key mutabiq zindagi guzarien. Aulad ney apna hi zabta-e-ikhlaq waldien per musallat kiya hua hai. Ek news channel pey main ney aik report dekhi thi. Us main aik larka aur larki aik khatoon ko old house main ley key jatey hain, dafter walon ney pucha key app log in khatoon key kaun hain toh bataya key hum in key parhosi hain aur jab un khatoon sey pucha gaya key yeh dono kaun hain aap key toh unho ney kaha key yeh merey bachy hain. Merey bachy mujhy plot dikahaney key liye laeen hain. Us MAA ki mamta dikheye key wo ab bhi apni aulad key iradey ko nahin samajh pai. Aulad kiun bhul jati hai key unhey bhi budha hona hai. Un ki bhi aulad ko jawan hona hai. Jo jesa karta hai wo wesa bharta bhi hai.
Main nahin kehti key main bohat farmanbardar hun, apney waldien ki her baat manti hun, unse uff  tak nahin kehti, lekin jab un logon key barey main sochti hun jin key waldien nahin hotey to apney waldien ki qadar hoti hai. Jab old house main buzurgon ko dekhti hun toh apney aap sey ahed karti hun key merey waldien ka INSALLAH UL AZIZ yeh mustaqbil nahin hoga aur taras ata hai un logon key nasibon per jo khud apney aap ko MAA jesi jannat aur BAAP key shafqat key saee sey mehroom kartey hain.
By.
Ifrah Ansari

2 comments:

  1. bilkul waldain 10 bucho ko pal lyty hain mager buchy 2 ma bap ko berdasht ni ker sekty hn pata ni wo kun buhol jaty hn in hi ky dam sy inki mahnet sy aj hum pur sakon zindagi guzer rahy hn jo ya apney waldain ky seth kerty hn kal unki olad bi un ky seth ker sekti ha

    ReplyDelete
  2. aulad waqai jawani ke nashy mein bhool jati hai ke hum ko bhi aik din borha hona hai.asal waja in sab chezon ki apny deen se douri hai.ghar ghar cable t.v naach gana aam hai.isi waja se waldein ka adab ehtram khatam hota ja raha hai.

    ReplyDelete